تقلیدکاثبوت قرآن سے: اللہ تعالی کاارشادہے اے ایمان والوں اطا عت کرواللہ کی اور اس کے رسول کی اور اپنے میں سے جو اولی الامر ہے ان کی اطاعت کرو: نساء آیت ۵۹

Taqleed in the Quran : Allah Says : “ Ask the people who know, if (when) you do not know.” (Nahl – 43/ambiyaa).

ALLAH KAHA’N HAIN ?

ALLAH KAHA’N HAIN ? 

Sawaal: Mera Sawaal Ye Hai ke ALLAH ki ZAAT Kaha’n Hai.? Arsh Pe Ya Har Jagah.?

.

Jawaab: Agar Koi Shakhs Sawaal Kare, “اَیْنَ اللّٰه ؟” (ALLAH Kaha’n Hai.?)

.
To Is Ka Jawaab Ye Dena Chahye.. “ھُوَ مَوْجُوْدٌ بِلَامَکَانٍ” (ALLAH Ta’ala Baghair Makaan ke Maujood Hain).
.
Ye Ahl-e-Sunnat Wal Jama’t ka Mauqaf wa Nazariyah Hai Jis Per Dalaa’il-e-Aqaliyah wa Naqaliyah Maujood Hain.


Faaydah: “ھُوَ مَوْجُوْدٌ بِلَامَکَانٍ” Ye Ta’beer Ahl-e-Ilm Hazraat ki Hai, isiliye Talabah (Students) ko Samjhaane ke Liye “ALLAH Ta’ala Bila-Makaan Maujood Hain” Keh Diya jaata Hai. Awaam An-Naas chounke in Istilaahaat Se Waaqif Nahi Hote isliye is AQEEDAH ko Awaami Zehan ke Peish-e-Nazar “ALLAH Ta’ala Haazir wa Naazir Hai” Ya “ALLAH Ta’ala Har jagah Maujood Hai” Se Ta’beer Kar Diya Jaata Hai.
.
ﻭَﻟِﻠّٰﮧِ ﺍﻟْﻤَﺸْﺮِﻕُ ﻭَﺍﻟْﻤَﻐْﺮِﺏُ ﻓَﺎَﯾْﻨَﻤَﺎ ﺗُﻮَﻟُّﻮْﺍﻓَﺜَﻢَّ ﻭَﺟْﮧُ ﺍﻟﻠّٰﮧِ (ﺳﻮﺭﮦ ﺑﻘﺮﮦ؛ 115
.
Tarjuma-Mashriq o Magrib ALLAH ka He Jidhar Bhi Jao Us Taraf ALLAH Ka Rukh He.. ﻭَﺍِﺫَﺍ ﺳَﺎَٔﻟَﮏَ ﻋِﺒَﺎﺩِﯼْ ﻋَﻨِّﯽْ ﻓَﺎِﻧِّﯽْ ﻗَﺮِﯾْﺐٌ (ﺳﻮﺭﮦ ﺑﻘﺮﮦ؛ 186 )
.
Tarjuma- Jab Aap Se Mere Bande Mere Baare me Puche To (Kah Do k) Mai To Tumhare Pass Hi Hu…
.
Fayda-Arshe Bayid He Kyunki Hamare Ooper 7 Aasmaan ,In Par Kursi He Aur Ooper Arsh He.. *Kitab Asma Wa Sifat Lil Beqahi ٭ﺍَﻟﻠّٰﮧُ ﺍﻟَّﺬِﯼْ ﺧَﻠَﻖَ ﺳَﺒْﻊَ ﺳَﻤٰﻮٰﺍﺕٍ۔٭ ﻭَﺳِﻊَ ﮐُﺮْﺳِﯿُّﮧُ ﺍﻟﺴَّﻤٰﻮَﺍﺕِ ﻭَﺍﻟْﺎَﺭْﺽَ۔٭ ﻭَ ﮐَﺎﻥَ ﻋَﺮْﺷُﮧُ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﻤَﺎٓﺉِ۔ ﯾَﺴْﺘَﺨْﻔُﻮْﻥَ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻨَّﺎﺱِ ﻭَﻟَﺎ ﯾَﺴْﺘَﺨْﻔُﻮْﻥَ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻠّٰﮧِ ﻭَﮬُﻮَ ﻣَﻌَﮭُﻢْ ﺍِﺫْ ﯾُﺒَﯿِّﺘُﻮْﻥَ ﻣَﺎ ﻟَﺎ ﯾَﺮْﺿٰﯽ ﻣِﻦَ ﺍﻟْﻘَﻮْﻝِ۔ (ﺍﻟﻨﺴﺎﺀ:108 ) Tarjuma- Wah Sharmaate He Logo Se Aur Nahi Sharmaate ALLAH Se Aur Wah Oon k Sath He Jab K Mashwarah Krte He Raat Ko Iss Baat ka Jis Se ALLAH Razi Nahi.
.
4: ﺍِﻥَّ ﺭَﺑِّﯽْ ﻗَﺮِﯾْﺐٌ ﻣُّﺠِﯿْﺐٌ (ﮨﻮﺩ:61 ) Tarjuma- Beshak Mera Rab karib He, Qabool Krne Wala He..
.
5 ﻭَﺍِﻥِ ﺍﮬْﺘَﺪَﯾْﺖُ ﻓَﺒِﻤَﺎ ﯾُﻮْﺣٰﯽ ﺍِﻟَﯽَّ ﺭَﺑِّﯽْ ﺍِﻧَّﮧٗ ﺳَﻤِﯿْﻊٌ ﻗَﺮِﯾْﺐٌ )ﺳﺒﺎ50 : ) Tarjuma – Aur Agar Mai Raah Par Hu To Yah Badoulat Oos Quran k He Jis ko Mera Rab Mere Pass Bhej Raha He..Wah Sab Kuch Sunta He, Bahot Karib He..
.
6 ﻭَﻧَﺤْﻦُ ﺍَﻗْﺮَﺏُ ﺍِﻟَﯿْﮧِ ﻣِﻦْ ﺣَﺒْﻞِ ﺍﻟْﻮَﺭِﯾْﺪِ )ﺳﻮﺭﮦ ﻕ؛16 ) Tarjuma – Ham oos k
Shah Rag Se Jyada Karib He.
.
Hazrat Thanwi Rah. Ki Azeeb Tawajjoh..Hazrat Thanwi Rah.Ne Azeeb Tawajjoh Farmayi He..
.
Farmate He k ALLAH Bande k Shah Rag Se Bhi Jyada Karib He – ALLAH To “Laysa ka Mislihee Shay” Jaat He..Lekin Mai Sirf Samzane k Liye Misal Deta Hu k Do kagzo Ko Jab Goond k Zariye joda Jata He To kagaz Aul kahaz Pani k karib Ho Jata He Lekin Unko jodne Wali Goond Kagaz ool ki Ba-Nisbat Kagaz Pani Se Zyada Karib Hota He..Insan ki Shah Rag Insan k Karib He To ALLAH Farmaa Rahe He k Mai Insan k Shah Rag Se Bhi Zyada Karib Hu. Do Judi Huyi kagzo Me Se Ek kagaz Dusre Se Karib He Lekin Goond Dusre kagaz k Zyada Karib He..isi Tarah Shah Rag Insan k Karib He Lekin ALLAH oos Se Bhi Zyada Karib He ﻭَﻧَﺤْﻦُ ﺍَﻗْﺮَﺏُ ﺍِﻟَﯿْﮧِ ﻣِﻨْﮑُﻢْ ﻭَﻟٰﮑِﻦْ ﻟَّﺎ ﺗُﺒْﺼِﺮُﻭْﻥَ (ﺳﻮﺭﮦ ﻭﺍﻗﻌﮧ؛85 Tarjuma – Tum se jyada Ham Oos k Karib Hote He Lekin Tum Dekhte Nahi…
.
Huzoor (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ka Farman Mubarak Hai:
.
’’لَوْاَنَّکُمْ دَلَّیْتُمْ بِحَبْلٍ اِلَی الْاَرْضِ السُّفْلیٰ لَھَبَطَ عَلَی اللّٰہِ۔‘‘ (جامع الترمذی ج 2 ص 165تفسیر سورۃ حدید )
.
Tarjuma!
Agar Tum Aik Rassi Zameen K Neeche Dalo, Tou Wo ALLAH Par Utregi.
.
Faidah!
Rassi Ka Zameen K Neeche ALLAH Ta’ala Par Utarna Daleel Hai Ke Zaat-E-Baari Ta’ala Srf Arsh Par Nahi Jaisa Ke Ghair Muqallideen Ka Aqeeda Hai Balke Har Kisi Ke Saath Moujood Hai.
.
7: عَنْ اَبِی الدَّرْدَائ رضی اللہ عنہ قَالَ سَمِعْتُ رَسُوْلَ اللّٰہِ صلی اللہ علیہ وسلم یَقُوْلُ: مَنِ اشْتَکٰی مِنْکُمْ شَیْئًا اَوِ اشْتَکَاہُ اَخٌ لَّہٗ فَلْیَقُلْ :رَبُّنَا اللہّٰ ُ اَّلذِیْ فیْ السَّمَائِ، تَقَدَّسَ اسْمُکَ ‘اَمْرُکَ فِی السَّمَائِ وَالْاَرْضِ کَمَارَحْمَتُکَ فِی السَّمَائِ فَاجْعَلْ رَحْمَتَکَ فِی الْاَرْضِ‘ اِغْفِرْلَنَا حُوْبَنَا وَخَطَایَا نَا‘اَنْتَ رَبُّ الطَّیِّبِیْنَ ‘اَنْزِلْ رَحْمَۃً مِّنْ رَحْمَتِکَ وَ شِفَائً مِنْ شِفَائِکَ عَٰلی ہٰذَا الْوَجْعِ فَیَبْرَاُ۔
.
(سنن ابی داؤد ج2ص187باب کیف الرقی)
.
Tarjuma!
.
Hazrat Abu Darda’ (Razia’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke Maine Aap (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ko Suna Aap Farma Rahe The: Tum Me Se Jo Shakhs Bemar Ho Ya Koi Doosra Bhai Usse Apni Bemari Bayan Kare Tou Yeh Kahe Ke RAB Hamara Wo ALLAH Hai Jo A’asman Me Hai. Aye ALLAH! Tera Naam Pak Hai Aur Tera Ihtiyar Zameen O A’asman Me Hai Jaise Teri Rahamat Aasman Me Hai Waise Hi Zameen Me Rahmat Kar. Hamare Gunhao’n Or Khatayo’n Ko Bakhsh De To Pak Logo Ka RAB Hai. Apni Rahmato’n Me Se Aik Rahamat Aur Apni Shifao’n Me Se Aik Shifa Is Dard K Liye Nazil Farma Ke Yeh Dard Jata Rahe.
.
8: Hazrat Abdullah Bin Muavia (Razia’Allahu Anhu) Farmate Hain Huzoor (SallAllahu Alaihi Wasallam) Se Poocha Gaya:
’’فَمَا تَزْکِیَۃُ الْمَرْئِ نَفْسَہٗ یَارَسُوْلَ اللّٰہِ!‘‘ قَالَ: اَنْ یَعْلَمَ اَنَّ اللّٰہَ مَعَہٗ حَیْثُمَا کَانَ۔
.
(السنن الکبری للبیھقی ج4ص95،96 باب لایاخذالساعی‘شعب الایمان للبیھقی ج3ص187باب فی الزکوۃ)
.
Tarjuma!
Admi Ke Apne Nafs Ka “Tazkiya” Karne Se Kia Muraad Hai? Tou Ap (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke Yeh Nazriya Bana Le Ke Wo Jahan Kahin B Ho ALLAH Uske Saath Hai.
.
9: عَنْ عُبَادَ ۃَ بْنِ الصَّامِتِ قَالَ قَالَ رَسُوْلُ اللّٰہِ صلی اللہ علیہ وسلم :اِنَّ اَفْضَلَ الْاِیْمَانِ اَنْ تَعْلَمَ اَنَّ اللّٰہَ مَعَکَ حَیْثُمَا کُنْتَ۔
.
(المعجم الاوسط للطبرانی ج6ص287رقم الحدیث8796)
.
9:Hazrat Ubadah Bin Saamit (Razia’Allahu Anhu) Farmate Hain K Aap (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya “Afzal Imaan Yeh Hai K To Yeh Nazriya Bana Le Ke ALLAH Tere Saath Hai To Jahan Kahin B Ho”.
.
10: عَنْ اَبِیْ ہُرَیْرَۃَ رضی اللہ عنہ قَالَ:قَالَ رَسُوْلُ اللّٰہِ صلی اللہ علیہ وسلم :اِنَّ اللّٰہَ عَزَّوَجَلَّ یَقُوْلُ یَوْمَ الْقِیٰمَۃِ :یَاابْنَ آدَمَ !مَرِضْتُ فَلَمْ تَعُدْنِیْ ‘قَالَ یَارَبِّ کَیْفَ اَعُوْدُکَ وَاَنْتَ رَبُّ الْعَالَمِیْنَ؟ قَالَ :اَمَاعَلِمْتَ اَنَّ عَبْدِیْ فُلَانًا مَرِضَ فَلَمْ تَعُدْہٗ؟ اَمَا عَلِمْتَ اَنَّکَ لَوْعُدْتَّہٗ لَوَجَدْتَّنِیْ عِنْدَہٗ؟
.
(صحیح مسلم ج 2ص318باب فضل عیادۃ المریض،صحیح ابن حبان ص189،رقم الحدیث269)
.
10:Hazrat Abu Huraira (Razia’Allahu Anhu) Farmate Hain K Ap (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya K “Qayamat K Din ALLAH (A’zzawajal) Irshaad Farmayenge: Aye Ibn-Adam! Mai Bemar Tha To Ne Meri Bemari Pursi Nahi Ki. Banda Kahe Ga Mai Apki Bemar Pursi (Iyadat) Kese Krta? Aap Tou Rabb-Ul-A’alameen Hain. Tou ALLAH Farmayenge Ke Mera Fula’n Banda Bemar Tha, To Uski Bemar Pursi Krta Tou Mjhe Wahan Paata_
..
AQLI DALAIL….

1:ALLAH Khaliq Hai Aur Arsh Makhlooq Hai Khaliq Azal Se Hai Agar ALLAH Ko Arsh Par Maana Jaye Tou Sawal Paida Hoga Ke Jab Arsh Nahi Tha Tou ALLAH Ta’ala Kahan Thy??
2:Haqiqatan Mustawi A’lal Arsh Hone Ki Teen [3] Sooraten Hain

.

Alif: ALLAH Arsh Ke Mahazat Me Honge

.
Ba: Arsh Se Mutajawiz Honge
.
Jeem: Arsh Se Kum Honge.
Agae Arsh Ke Mahazat Me Maane Tou Arsh Chonke Mahdood Hai Li-Haaza ALLAH Ka Mahdood Hona Lazim Aaye Ga. Aur Mutajawiz Maane Tou ALLAH Ki Tajzi Lazim Aayegi. Aur Agar Arsh Se Kum Maane Tou Arsh Yani Makhlooq Ka ALLAH Yani Khaliq Se Bada Hona Lazim Aayega Jabke Ye Teeno Sooraten Mahaal Or Na-Mumkin Hai.
.
3:ALLAH Ta’ala Khaliq Hain Jo Ke Ghair-Mahdood Hai, Agar ALLAH Ta’ala Ko Arsh Par Maana Jaye Tou Sawal Paida Hoga “Kia Ghair-Mahdood, Mahdood Me Sama Sakta Hai:?
.
4:Agar ALLAH Ta’ala Ko Arsh Par Haqeqatan Maane’n Tou Haqiqi Wujood K Saath Kisi Cheez Par Hona Yeh Khasiyat Jism Ki Hai Aur ALLAH Jism Se Pak Hai Kyunke Har jism Murakkab Hota Hai Aur Har Murakkab Haadis Hota Hai Jabke ALLAH Qadeem Hai.
.
5:Agar ALLAH Ta’ala Ko Arsh Par Maane’n Tou Arsh ALLAH K Liye Makaan Hoga Or ALLAH Ta’ala Makeen Honge Aur Zaabta Hai Ke Makaan Makeen Se Bada Hota Hai_ Is Aqeede Se “ALLAHu Akber” Wala Aqeeda Toot Jaye Ga.
.
6:Agar ALLAH Ta’ala Ka Fauqal Arsh Maane’n Tou Jihat-E-Fauq Lazim Aayegi Aur Jihat Ko Had-Bandi Lazim Hai Aur Had-Bandi Ko Jism Lazim Hai Jabke ALLAH Jism Se Pak Hai_
.
7:Agar ALLAH Ta’ala Ko Fauqal Arsh Maane’n Tou Arsh Iske Liye Makaan Hoga Or Makaan Makeen Ko Muheet Hota Hai. Qura’an Kareem Me Hai

:’’وَکَانَ اللّٰہُ بِکُلِّ شَیْئٍ مُّحِیْطًا۔‘

“Ke ALLAH Ta’ala Har Cheez Par Muheet Hai..

.

Chnd Shubhaat Or Unka Azala:
.
SHUBA 1: Agar ALLAH Ta’ala Ko Har Jaga Mana Jae To Kia ALLAH Ta’ala Baitul Khala Me b Mojod Hai ?
Agar kahen k NAHI To Har Jaga Hone Ka Dawa Tot Gaya..Aur Agar kahen k He To ALLAH Ta’ala ki Beadbi Hy.
.
JAWAB: Ba’az Chezun Ko ijmalan Bayan Kren To Munasib Or Adab Hy…Agar Tafsilaat Bayan Kren To Khilafe Adab Hy.
.
Maslan: Susar Apny Damad Ko Kahy K: MERI BETI K HUQUQ KA KHAYAL RKHNA.. To ijmalan Qol Hone ki Waja Se Ye Adab Hy Lekin Agar Wo Tamam Huquq 1, 1 kar k Ginwana Shoro kar Dy To Ye khilafe Adab Hy.
.
“Sar Se Ly Kar Paon Tak Tamam jisam ka khaliq ALLAH Hy” Ye Kehna Adab Hy.
Lekin Tafsilan 1, 1 Uzu ka Naam Ly kar Yahi Baat Kahi Jae To Ye Khilafe Adab Hy.
.
“ALLAH TA’ALA Hr jaga Hy” Ye ijmalan Kehna To mazkora Qaidy ki Roo Se Drust Or Adab Hy Lekin Tafsilan 1, 1 Jaga Ka Jis Me Ma Pasandida Jaga b Shamil Hon, Naam Ly Kar Kaha Jae To Ye Beadbi Hone ki Waja Se Ghalat Hoga..Lehaza Aisa Sawal Krna Hi Ghalat..Namunasib Or Najaiz Hy.
.
2: Ye Aiteraz Tab Peda Hota Hy Jab ALLAH TA’ALA Ko Wajod Ba-Ma’na JISAM k Sath Manen..
Jaise Quran Kareem Ko Baitul Khala Me Ly Kar jana Quran ki Toheen Or Beadbi Hy Halan-K Har HAFIZ Jab Baitul Khala Jata Hy To Quran Us k Seeny Me Mojod Hota Hy Lekin Beadbi Ni,Q k Quran JISM Se Pak Hy .. Aisy Hi ALLAH TA’ALA Ka Jisam Hi Sabit NAHI Krte To Beadbi Lazim Nahi Aati.
.
3: Ramzanul Mubarak ka Mahina Har Jaga Mubarak Hy. Aagr Nahi To Har Jaga Ramzan Nahi,Agar Hy To Ba-Barkat Kesy?
.
To Uska Ye Sawal Laghv Hoga Q k Jab Ramzan ka Jisam Hi Nahi Hy To Har Jaga Man’ny Me koi Beadbi Na Hogi Or Ye Hr Jaga Ba-Barkat Hoga.. isi Tarah Jab ALLAH TA’ALA ka Jisam Hi Nahi To Hr Jaga Man’ny Me Beadbi B Nahi.
.
SHUBA 2: Agar ALLAH Ta’ala ko Hr Jaga Maany To is Se Halol Or itehad Lazim Aega.
.
JAWAB: Halol Or itehad Tab Lazim Aega Jab ALLAH Ta’ala k Liye Jisam Mana Jae ,Jab k ALLAH Ta’ala jisam Se PAK Hen.
FAIDA:
2 Chezun Ka Is Tarah 1 Hona K Hr 1 Ka Wajod Baqi Rahy ” ITEHAD ” Kehlata Hy.. Jesy Omelette.
.
2 Chezun ka is Tarah 1 Hona k 1 Chez ka Wajod Khatam Hojae ” HALOL ” Hy.. Jesy Sharbat.
SHUBA 3: Jab ALLAH Ta’ala Arsh Par Ni To Nabi kareem Sallallaho A’laihi Wa aalihi Wa Ashabihi Wassallam Ko Hm-Kalam Hone k Liye Arsh Par Q Bulaya ?
.
JAWAB: Hm-kalam Hone k Liye Arsh Par Bulana Agar Arsh Par Hone Ki Dalil Hy To Yahodi Kahengy K ALLAH Ta’ala Koh-E-Toor Par Hen Q k Hazrat Moosa A’laih Salam Ko Wahan Bulaya Gaya Tha..kalam-E-ILahi Tajjalli-E-ILahi Ka Naam Hy,Chahy Us k Zahoor k Liye Arsh Ka intekhab Ho Ya Koh-E-Toor Ka Ho Ya Mansor Hilaj Rahimahullahu Ta’ala Ki Zaban Ka Ho.
.
SHUBA 4: Agar ALLAH Ta’ala Arsh Par Nahi To Bawaqte Dua Hath Upper Q Uthae Jaty Hen ?
.
JAWAB: ALLAH Ta’ala Jihat Se Pak Hen, Lekin Bandy Ki Qalbi estehzaar k Liye Ba’az A’maal k Liye Ba’az jihaat Ka Ta’yyun Farma Dety Hen.. Jesy Namaz k Liye jihate Ka’ba Ko Qibla Qarar Dia, Dua k Liye jihate Faoq Ko Qibla Qarar Dia Or Nihayat a’la Darjy k Qurb-E-ILahi k Husol k Liye jihate Arz ko Qibla Qarar Dia Or Quaran Majeed Me Hukum Dia
’’وَاسْجُدْ وَاقْتَرِبْ‘‘
(Or Sajdah Kro Or HUM Se Qareb Ho Jao)
.
FAIDAH:
Hmara Nazariya Hy k Aap Sallallaho A’laihi Wa Aalihi Wa Ashabihi Wassallam k Jisam-E- Athar Se Lagny Wali Mitti K Zrrat Ka’ba Se B a’la Hen.
.
is Par Ghair Muqallid Ye Aiteraz Krte Hen k Agar Ye Zarrat Ka’ba Se B a’la Hen To Sajda Ka’ba Ki Taraf Na kro Bal k Roza-E-Nabi Kareem Sallallho a’laihi Wassallam ki Taraf Munh Kr k Kro..
.
Ham Kehty Hen k Ye Zarori Nahi k Afzal Hi Ko Qibla Banaya Jae. Agar Aapka Yahi Usol Hy To Aap k Han Arsh Ka’batullah Se Afzal Hy To Aap Namaz Me Apna Munh Arsh ki Taraf Q Nahi Kr Lete?
.
FAIDAH: Ka’ba Markaze ibadat Hy Or Roza e Rasol sallallho a’laihi Wassallam Markaze Aqidat Hy.
SHUBA 5: Agar ALLAH Ta’ala Upper Arsh Par Nahi To A’moman ALLAH Ta’ala ki Taraf Nisbat Krne k Liye Upper ishara Q Kia Jata Hy?
.
JAWAB: ALLAH Ta’ala jihaat-e-Sitta Se Agrchy Pak Hen,Lekin Tamam jihaat Ko Muheet B Hen. Jesa k ALLAH Ta’ala Farmaty Hen:
وَکَانَ اللّٰہُ بِکُلِّ شّیْئٍ مُّحِیْطًا (سورہ نساء ؛126)
(ALLAH Ta’ala Hr Chez Ko Muheet Hy)
.
Or jihaate Sitta Me Se Jihat-e-a’lv Ko Baqi jihaaat Pr Aqlan Foqiyat Hasil Hy. Is Liye a’lv Martaba Or Ta’zeem ka khayal Krte Hoe ishara Uper Kia Jata Hy.
.
Jesy Ustad Ki Awaz Dorane Sabaq Tamam jihaat ki Taraf Muntaqil Hoti Hy Lekin Ustad k Samny Beth Kr Awaz ko Sun’na Adab Hy Or Pechy Beth Kr Sun’na Beadbi Hy.…
ALLAH Kareem Deen Ka Sahih Fehem A’ta Farmae.Ameen Summa Aameen.

Ref : https://tahaffuzedeenmedia.wordpress.com/2015/08/19/allah-kahan-hai/