تقلیدکاثبوت قرآن سے: اللہ تعالی کاارشادہے اے ایمان والوں اطا عت کرواللہ کی اور اس کے رسول کی اور اپنے میں سے جو اولی الامر ہے ان کی اطاعت کرو: نساء آیت ۵۹

Taqleed in the Quran : Allah Says : “ Ask the people who know, if (when) you do not know.” (Nahl – 43/ambiyaa).

HAZRAT UMAR Raz.KI SHAN MEN GUSTAKHIYAN - Mufti Mohammed Ajmal Qasmi


Adv. Faiz Syed


Daur e Hazir ke Ghair Muqallideen Firqe Naam Nihad Ahle Hadees se Chand Sawaalaat

Mua-Azzas Ghair Muqallid Dosto ! Jo Apne Aap Ko Ahle Hadees Kehkar Bade Khush Hote Hai.Aap Se Umeed Hai Ke Allah Ko Aalim Ul Ghaib Jaankar Mere Baat Ko Sanjeedgi Ke Saat Padhege Aur Haq Ko Qubool Karne , Apni Aur Apne Aqwaal Wa Amal Ki Asliyat Aur Haqiqat Ka Iqraar Wa Aiteraaf Karne Se Maslaki Asaabiyyat , Apni Jamaat Ke Ulama Ki Ghair Tehqiqi Baate , Ghalat Fefhmiya Harghiz Aap Nahi Rokegi.
Aap Ghair Muqallideen Ka Dawa Yeh Hai Ke Aap Sirf Aur Sirf Quran Aur Sahi Hadees Par Hi Amal Karte Hai Aur Aap Ke Paas Deen Islaam Ke Sirf Do Hi Usool Hai.
  1. Farmaan E Khuda.
  2. Farmaan E Rasool Sallallaha Alaihi Wasallam

Ghair-Muqallideen Hazraat (Maujuda Firqa e Naam Nihad Ahle Hadees ) Ki Apne Qadeem Ulema' Se Baghawat

Aap Unko Mujtame Samajte Hai Halake Unke Dil Bikhre Huve Hai , Uski Waje Yeh Hai Ke Wo Na Samaj Qaum Hai.
Ghair-Muqallideen Hazraat (Maujuda Firqa e Ahle Hadees ) Ki Apne Qadeem Ulema' Se Baghawat.


Mohtaram Baraadaraan-E-Islaam..! Firqa (Naam Nihaad) Ahl-E-Hadees Me Shaamil Maujoodah Daur Ke Afraad, Mujtahideen Wa Fuqaha-E-Kiraam (Rahmatullahi Alaihim) Ke Sath Sath Apne Pichhle Buzrugo'n Aur Apni Hi Jama't Ke Bade Aur Qadeem Ulema' Se Bhi Baghavat Aur Unki Mukhalifat Par Utar Aaye Hain. Jiski Chand Misaalein Darj-E-Zail Hain.
(I)
1. Ghair-Muqallideen Ke Mash'hoor Wa Ma'roof Fitnah Parwar Aalim Muhammad Yusuf Jaipuri Sahab, Qiyaas Wa Ijtihaad Ki Buraayi Aur Shadeed Mazammat Karte Hue Tehreer Karte Hain: "Ibne Sireen (Rahmatullahi Alaih) Kehte Hain Ke Qiyaas Nahoosat Hai, Awwal-Awwal Jisne Qiyaas Kiya Wo Iblees Tha To Wo Halaak Hua." [Haqeeqatul Fiqh Page No. 89]

Ghair Muqallideen Ke Aiteraazaat Ki Haqiqat

Ghair Muqallideen Ke Aiteraazaat Ki Haqiqat
Aiteraaz 1 : Hafiz Zubair Ali Zai Ne Tafseer E Qurtubi Ke Hawale Se Yeh Aiteraaz Kiya Hai Ke Yeh “وَإِذَا قُرِئَ الْقُرْآَنُ فَاسْتَمِعُوا لَهُ وَأَنْصِتُوا لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ “Ayat E Karima Me Na Imam Ka Zikr Hai Aur Na Muqtadi Ka , Isi Tarah Is Me Surah Fatiha Ka Bhi Zikr Nahi Hai Balke Yeh Ayat Mushrikeen Ke Daur Me Nazil Huvi Hai.
(Fatiha Khalful Imam: Safa 9)

Hazrat Umar Rdh. Ki 20 Rakaat Waali Ahadees per Naam Nihaad Ghair Muqallid Aalim Zubair Ali Zai Ke Aiteraazaat Ke Muh Tord Jawaabaat

Hadees No 1 :
Sanad : Imam Abu Bakar Bin Abi Shaiba Rh. --> Wakii Rh. --> Maalik Bin Anas Rh. --> Yahiya Bin Saeed Rh.
Hazrat Yahiya Bin Saeed Rh. Kehte Hai Ke Hazrat Umar Rdh. Ne Ek Aadmi Ko Hukum Diya Ke Logo Ko 20 Rakaat Padhaye. (Musannaf Ibn Abi Shaiba Jild 2 Safa 285 ).

Imaam Ke Peeche Qirat Na Karna Ahadees E Rasool Saw Ki Roshni Me

Mohtaram Biraadaraane Islaam ! Sahaba Ikraam Rdh. , Tabien Rh. Aur Baad Ke Fuqaha Wa Muhaddiseen Rahimaullah Ke Andar Kai Masail Me Ikhtelaaf Tha. Lekin Is Ikhtelaaf Ke Bawajuud Ek Dusre Ka Puraa Ahteraam  Karte Aur Har Ek Se Muhabbat Karte The. Kyunke Har Ek Paas Apne Dalail The.Wo Ek Dusre  Ko Gumrah Wa Biddati Nahi Kehte The. Lekin Maujuda Daur Ke Ghair Muqallideen Ahle Hadees Hazraat Ne Salaf E Saleheen  ,  Sahaba Wa Tabien Radhi Allahu Anhum Ki Is Seedha Raah Se Hatkar Ek Khatarnaak Raah Ikhtiyaar Ki Hai.