تقلیدکاثبوت قرآن سے: اللہ تعالی کاارشادہے اے ایمان والوں اطا عت کرواللہ کی اور اس کے رسول کی اور اپنے میں سے جو اولی الامر ہے ان کی اطاعت کرو: نساء آیت ۵۹

Taqleed in the Quran : Allah Says : “ Ask the people who know, if (when) you do not know.” (Nahl – 43/ambiyaa).

Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Ke Bare Me Firqa Naam Nihad Ahle Hadees Aur Unke Ulama Ka Nuqta E Nazar

Mohtaram Islaami Bhaiyo ! Ahle Sunnat Wal Jamat Ka Har Daur Me Is Aqeede Par Kaamil Ittefaq Raha Hai Ke Poori Insaniyat Me Ambiya Kiram Alaihums Salaam Ke Baad Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Sab Se Afzal Hain. Quran Paak Me Allah Ta’ala Ne Kayee Ayaton Me Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Ki Tareef Farmayi . Huzoor Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Beshumaar Ahadees Me Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Ke Fazail Bayan Farmaye. Ek Hadees Me Ap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Poori Ummat Ko Takeed Farmayi Ke Allah Allah Fii Ashaabii. Mere Sahaba Ke Bare Me Allah Se Daro, Mere Baad Unko Nishana Malaamat Mat Banao. Jisne Unse Muhabbat Ki Usne Meri Muhabbat Ki Wajeh Se Unse Muhabbat Ki Aur Jisne Unse Dushmani Ki Usne Mujhse Dushmani Ki Wajeh se Unse Dushmani Rakhi . 
(Tirmizi)